Thursday 16 June 2011

BHRASHTACHAR PAR BHRASHT ACHRAN

Aajkal pure BHARAT me Bhrashtachar raag ki alaap sunai par rahi hai. Bhrashtachar raag alapne ke liye sabhi apni daphali lekar kood pade hain. Anna Hazare, Baba Ramdev, Arvind Kejriwal.................. aur idhar Diggi Raja, Pranav Da Aadi. Ab to Jaylalita Uvach bhi hua hai. Jaylalita ne Chidambaram par yun ungli uthayi mano sabse imandar wo hi hain. Khair is relam pel me asli mudda chhoot gaya hai. Dar asal Bhrashtachar ko door karne ka koi irada nahi hai kisi ka. Desh ki karoron bhukhi adhnagi janta ki kaun sunta hai bhai. Kuchh log bina kisi chunav ya nomination ke civil society ke neta ghoshit ho chuke hain. Unki baat hi abhi is kranti ka mool adhar hai. Lokpal ka halla mucha hua hai. Lokpal se pahle bhi kai kanoon the aur hain. Kya Bhrashtachar mita? nahi, kyonki kanoon banane se bhrashtachar nahi mitne wala hai bhai. Ise mitane ke liye samajik jagrukta ki avashyakata hai. Aaj jan jan me bhrasht achran ka pravesh ho chuka hai. NAREGA ki sthiti dekhiye. kya aaram se loot ho rahi hai. Koi bolta tak nahi. Upar se niche sab is baat ko jante hain, par koi action nahi. Jameen ki registry undervalue me karwane me adhiktar log safe samajhate hain. Train me beticket chalna shaan ki baat hoti hai. Pairavi se aage badhne ki hod lagi hai. Capitation fee par padhai legalise kar di gayi hai aur humare bhrashtachar virodhi neta is par kuchh bolte hi nahi. Capitation fee ka underhand payment bina bhrashtachar ke sabhi ke liye sambhav nahi hai. Dar asal is desh me rajniti ke liye ek naya mudda mila hai aur neta gan ke saath is baar kuchh gair neta type log bhi lag gaye hain. Main kahta hun Lokpal tum bana loge to us kanoon ka palan isi desh ke log karayenge na. Woh to pehle ke kanoon me bhi ho raha hai. Kuchh chhoti Machhaliyon ko pakda jata hai aur hulla hone par kuchh badi machhaliyon ko bhi. Baad me kuchh ko saja bhi mil jati hai. Lekin bhrashtachar badstoor jaari hai. Is desh me dahej virodhi kanoon bhi laagoo hai, kya dahej samapt ho gaya? Isiliye bandhuon samaj ki mansikta ko badalne ki jaroorat hai aur iske liye samajik andolan ki avashyakta hai. Isise bhrashtachar mitega aur kitna bhi hard kanoon bana lo, chahe phansi par latkane ka provision kar do, kuchh fayda nahi honewala hai. Bhrashtachar par samajik andolan na chalakar hurdang karna, chahe wo Ramdev ho ya Diggi Raja, apne aap bhrasht acharan hai. Ant me ek sawal, Ek garib aadmi ko apni Beti ke liye Achchha var Lane me agar uski haisiyat se jyada dahej liya jaa raha hai ya ek maa ko apne bete ki jaan bachane ke liye mahangi medical sewa leni par rahi hai, jo uske pahunch ke bahar hai to aise me agar woh chori ya bhrashtachar nahi kare to samaj uski madad ke liye taiyar hai kya?